Kaafi Hoon
Ishq me jeet ke Aane ke Liye Kaafi Hoon
Main Akela hi Zamaane ke Liye Kaafi Hoon.
Har Hakikat Ko Meri Khwaab Samajhne Waale
Main Teri Neend Udaane K Liye Kaafi Hoon.
Ye Alag Baat ke Ab Sookh Chukaa Hoon Phir Bhi
Dhoop ki Pyaas Bujhaane Ke Liye Kaafi Hoon.
Bas Kisi Tarah Meri Neend Ka Ye Jaal Kate
Jaag Jaaun to Jagaane Ke Liye Kaafi Hoon.
Jaane kis Bhool Bhulaiyya Main Hoon Khud Bhi Lekin
Main Tujhe Raah Pe Jaane Ke Liye Kaafi Hoon.
Dar Yahi Hai ke Mujhe Neend Naa Aa Jaaye Kahin
Main Tere Khwaab Sajaane Ke Liye Kaafi Hoon.
Zindagi Dhundti Phirti hai Sahara Kiska ?
Main Tera Bojh Utthane ke Liye Kaafi Hoon.
Mere Daaman Main Hain So Chaak, Magar Ae Duniya
Main Tere Aib Chhupane ke Liye Kaafi Hoon.
Ek Akhbaar Hoon Aukaat hi Kya Meri Magar
Shahar Main Aag Lagaane ke Liye Kaafi Hoon.
Mere Bachchon, Mujhe Dil Khol Kar Tum Kharch Karo,
Main Akela hi Kamaane Ke Liye Kaafi Hoon,,,,,,!!!
NIKAAH & JANAAZA.
Teri doli uthi, Meri mayyat uthi,
Phool tujh par bhi barse, Phool mujh par bhi barse,
FARQ SIRF ITNA SA THA
Tu saj k gayi, Mujhe sajaya gaya..
Tu bhi ghar ko chali,Main bi ghar ko chala,
FARQ SIRF ITNA SA THA
Tu uth ke gayi, Mujhe uthaya gaya...
Mehfil wahan bhi thi, Log yahan bhi the,
FARQ SIRF ITNA SA THA
Unka hasna wahan, Inka rona yahan...
Qazi udhar bhi tha, Moulvi idhar bhi tha,
Do bol tere padhe, Do bol mere padhe,
Tera NIKAAH padha, Mera JANAAZA padha,
FARQ SIRF ITNA SA THA...
Tujhe APNAYA gaya, Mujhe DAFNAAYA gaya...
No comments:
Post a Comment